Thursday, August 14, 2008

mera wajood

aaj subah jab aaena dekha, chehra kuch khamosh tha.....
jane kya wo soch raha tha , jane kyun madhosh tha......

labo pe ek mushkan si chhayi, jaise tu mere jehan mein aayi....
kaanp(shiver) gaya tan man mera, jaise tu mujhse milne aayi..

tadap utha chhone ko ye dil, tujhko kyun sargoshi se.....
dekh nahi paya main tujhko, chupke se khamoshi se....

hath badhaye they maine jab , aaena bhi mujhse bol utha....
tu to pagla hai deewane, kya mujhko bhi pagal samajh chala......

tu pyar usko karta hai, aur dekh ke mujhko hansta hai....
jane kyun tu apney aks mein, usko doodha karta hai....

tere aanshoo dekh kar, main bhi sisak padta hun.....
jhoothi tasweer main uski, tujhko dikhlaya karta hun.....

ab kaise main samjhaun usko (aaene ko), main to tujh mein hi khoya hun....
ab to mera wajood hi kya hai, tu hi to mera sarmaya(capital, daulat) hai....

No comments: