ajal (death) mujhko dekh kar, jane kyun ruk gayi...
meri aankho mein shayad azal(kai janm) se tera intezaar tha....
ek jurm maine kiya jiska koi javaaz (justification)nahi.....
tumse beintehaa mohabbat ki hai........magar tamsiil(example) main de na sakunga....
aye jannat ke noor, ik niyaaz tujhse hai,
gar main kabhi tujhe dozakh mein miloo....
mat kahna kisi se, mera tujhse se nisbat kya tha.....
jab se tujhe paya hai, jab se tujhe dekha hai,
meri haaj (desires) per mera koi ikhtiyaar(control) na raha......
tere hushn ko aakho mein basa ker,
sochta hun aaj badr(moon) qafas(cage) mein hai...
No comments:
Post a Comment